Wednesday, 20 April 2011

Kuch keh denay ki dastaras tu hasil nahi.........by Ahmad Sabih

"Kuch keh denay ki dastaras tu hasil nahi"

By Ahmad Sabih



Jis aaghosh-e-Nakheel ko tum ne qaid-e-tanhai samjha

woh qila junoon-e-fitrat se banaya tha mein ne

Ek Dunya hasraton ki wahan bhi basti thi
Bas tum ko Nigah-e-Mukhalif se chupaya tha mein ne

Bari azaad uraan bhartay ho mauje-e-saba mein
par ehsaas-e-qurbat ko kuch dur paya tha mein ne

Jin rangon ko tum ne tabbasum ka zarya samjha,
Jazbaat k un teelon ko khud he giraya tha mein ne

Kuch keh denay ki dastaras tu hasil nahi,
bas ek bhara hua dil basaya tha mein ne


Click Here and read more Classical Sad Poetry

Barastay Qatron Mein ....... by Ahmad Sabih

"Barastay Qatron Mein"

By Ahmad Sabih

Umeed-e-seher khoojtay ho in barastay qatron mein..?

Ajab nahi k beh jao is darya ki rawani mein

Manzil tu la-hasil saraab hai magar,
Justuju k liay kuch safar aur mil jaay ga..

Mauje-eBedari tere lafzon ki mehek deti hai,
K waqt tu bohot guzara magar zindagi nahi.


Click Here and read more Classical Sad Poetry

Tum kehtay ho ........... by Ahmad Sabih



Tum kehtay ho in lafzon mein chupi dastaan tu bohot hai?

Kia karoon keh dene ko bas ek waraq he mila..

Ahmad Sabih Sad Poetry..........

"Aaj meri fitrat meri wajah-e-tanhai ban gai"

By Ahmad Sabih


Aaj meri fitrat meri wajah-e-tanhai ban gai

mujh se teri qurbat kuch bin nibhai reh gai

Ehd-e-rafaqat saath hai tu kia hasil?
dil mein tu mauj e bewafai reh gai

Suna hai jeetay ho kisi manoos k liay Sabih
Per shayad us ko zindagi ki rasai mil gai...


Click Here for more these types of Classical Urdu Poetry

Some Words by Ahmad Sabih

"Dastaan-e-Zindagi tu bohot khamosh hai magar"

by Ahmad Sabih



Dastaan-e-Zindagi tu bohot khamosh hai magar

Behtay ashkon ka shor sunana chahta hoon

Hai ujala bhi tu subh-e-kazib ki manind
Bas ek umeed zaroor dikhana chahta hoon

Mujh ko maloom hai manzil ki haqeeqat lekin
Parwana ban kr urh jana chahta hoon

Har chehra naqaab hai nafratoon kay ooper
Aur mein kiun kr un se mohabbatein le jana chahta hoon

Zindagi ka safar guzar janay per gumaan hua kay
Mein makhlooq-e-Qabar hoon magar dunya mein jeena chahta hoon


Click Here for more these types of Classical Urdu Poetry